ईडब्ल्यूएस सर्टिफिकेट की पूरी जानकारी | EWS Certificate 2023

EWS CERTIFICATE IN HINDI

Hello, dosto Mai Ravi Thakur apni website tecnoravi me apka welcome karta hun. Dosto agar aap General Caste se hai tab ye post apke bahut kam ki hai. Kyuki aaj ki post me mai ews certificate ki puri jankari dene wala hun. Jaise EWS Certificate kya hai or kaha Banega etc. Ye sabhi jankari hindi me mai apko bataoga esliye post ko pura padhiye (EWS Certificate in Hindi).

EWS Certificate kya hai:

EWS Certificate ek Sarkari document hai. Eski full form Economically Weaker Sections (आर्थिक रूप से कमजोर वर्ग ) hain. Ye Central govt ki ek scheme hain. Jisme jo log general category ke hai (Thakur, Pandit, Gupta, Saxena, etc) mtlb jinhe kisi trah ka reversion nhi mil rha hain. Unhe sarkar 10% reversion govt jobs or college admission me degi. 10% Reversion lene ke liye apke e.w.s certificate hona chahiye. Yah Praman Patra theek usi trah work karta hai Jaise OBC or SC, ST Praman Patra krte hain. Yah Praman Patra ki help se general category wale lo Central or State Govt Job me 10% Reversion le skte hain. 

You May Also Like:

Eligibility Criteria for Economically Weaker Sections Certificate

  • Avedak General Category ke hona chahiye (एससी, एसटी या ओबीसी के लिए आरक्षण के अंतर्गत नहीं).
  • Apke Family ki Anual incame 8 Lakh se Kam honi Chahiye (कृषि, सेलरी, व्यवसाय जैसे सभी तरीको की कमाई शामिल है।).
  • Avedak ya apke Family ke Pas 5 Akad (5 एकड़ ) se jada Zameen (Khet) nhi hogi  chahiye.
  • Apke ya apke family ke pas city me 1000 Square Feet se jada area ka Residential Plot nhi hona chahiye. 

Economically Weaker Sections Praman Patra ke liye documents

  • Aadhar card / Pen card  
  • Income Certificate             (Apply online here)
  • Mool Nivas Certificate      (Apply online here)
  • 2 Passport size colored Photo
  • Rashan Card              (Not Compulsory)
  • Bank Statement        (Not Compulsory)
  • House Paper              (Not Compulsory)
  • Zameen Ki Details    (Not Compulsory)

EWS Certificate kaise Banaye

Agar apke pas uppar diye gaye sabhi documents hain. Aap is scheme ki eligibility criteria puar skte hain. Tab aap E.W.S Certificate do trah se banba Sakte hain bahut asani se. Niche mai aage ki jankari di gai hain.

ONLINE:-

Online ews praman patra Banane ki suvidha har state me nhi hain. Only kuchh state hai jaha online ews certificate ke apply kar skte hain. Jaise Andhra Pradesh, Bihar, udisha.  Dosto phle aap check kar lijiye apke state me online koi portal hai ews banane ke liye ya nhi. Uske bad aap apply kijiye.

OFFLINE:-

Mostly state me Abhi Economically Weaker Sections praman Patra offline hi banata hai. Offline aap Jila Magistrate /  Collector / Dipti commissioner / Tahseeldar se e.w.s certificate banba skate hain. Sbse asan tahseel rahega, apko apne sare documents le kar tahseel me jana hai or apne area ke lekhpal se contact karna. Uske bad aap badi asani se ye certificate bana ba skate hain. 

EWS Certificate ki Validity kitni hai

Friends es praman patra ki validity baise to generally 1 year hoti hai, us date se jis date pr bah certificate issued hua hain. Fir bhi kuchh jagah only financial year tak valid banaya jata mtlb har sal bo march me expire ho jata hai. Eske ilava kuchh jagah keval 6 month or 3 month ke liye hi e.w.s-certificate banaya jata hai. Apka ews kab tak valid hai. Eska answer keval bahi correct de skta hai jaha apne ese ban baya hai. To dosto aap bahi contact krke apne certificate ki validity ki sahi jakari le skte hai jaha se certificate issued huaa hai.

E.W.S Certificate Renew Kaise Kare

Dosto Certificate renew karne ke liye apko bahi sare documents le kar jana hai. Jaha se apka e.w.s issued huaa hai. Apke documents fir se verify hone ke bad apke certificate ki validity extend kr di jayegi.

Tab dosto ye thi Economically Weaker Sections Praman Patra bare me puri jankari ( EWS Certificate in hindi ). Eske ilava apke mind me koi question hai iske relactive me. Tab aap mujh se comment kar ke puch skte hai. THANK YOU

Video Tutorial in Hindi

संबंधित लेख

11 Responses

  1. sir please please bta doo EWS ka certificate state ka lgana hota h ya central ka or uske upper jo sign hote h voo below tehsildar hone chiye ya above tehsiladar …………………………………………please sir koi nhi bta rha na hi khi par mention h ye please sir …………..

    1. EWS alag alag purpose se banaye jate hain jaise central job ke liye central level ka state job ke liye state level ka ….kahi jagah dono ke liye ek hi ews banata hain. or dono pr sign tahsildar ke hote hain or apke area ke lekhpal ki mor lgti hain.

यहाँ पर अपना कॉमेंट लिखें...

Discover more from MisterKaise

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading

Search MisterKaise.in
आज क्या सीखना चाहते हैं?